Thursday, January 2, 2014

Kuch tinke ghash ke

Chalti sadak par Ek ghash oogi...
Usme se kuch pero ke neeche aane ko wahi tan gayee...
Thodi se usme se, mitti mein mil, mitti hi ban gaye...
Kuch beh kar samandar tak pohuchi, 
aur tinka ho kar doobte ka sahara ban gayee...


Gulzar

Mat ghabrana oh Mann in akale raasto se, 
inhi raasto se hokar patjhad bhi Bahar ban jaate hai... 
Chule agar mausam pyaar se to 
sookhi daali bhi poora Gulzar ban jaate hai


Kabhi yu hi

Kabhi yu hi raat beraat, 
dustak de jaate hain roshan armano ke bullbule...
khwabo ke meri choti se khidki pe...


Kaato ki Ninda

Kaato ki ninda kyun hum kare,
unhe toh kudrat ne banaya hi nanhe phoolo ko 
zaalim haatho se toode jaane se bachane ke liyea...
Khoot toh hum insaano ki fitrat mein hi hai...


Hosla

Hosla ho toh aisa ki phir har baat mein DUM ho...
Moothi mein ho Suraj, chahe phir kitna bhi kyun na woh GARAM ho...
 


February 6, 2013
Zung lagi taar

Zung khate he hai kyun na ho phir acche se acchi kaante wali taar he...
Kabhi Toh khatm hona hota hai, chahe kyun na ho lohe ki deewar he...
Kudrat pe kisi seema ka pehra nahi... 
Kyun ki, ghas Toh oogte hai ish paar bhi, ush paar bhi...

February 26, 2012

Saturday, August 21, 2010

"Mein" - Hawan kund ki aag !!!

Hawan kund ki Aag so, bhabku hoon mein O Dev
bhasm kar E deh nu, nij mein mila lev

Toh ki he yaa aam ki lakdi
jal pich, toh ki he yaa raakh hai
satya iccha ek maatr - toh mein mil jaaon
baaki saari iccha moh / khaak hai

Tu he daale ghee, aur budhaave E taap na
mein banu jo dhooni beech beech
kade bhuj jo aap mein
baat barabar ek hai - miloon teri he bhaap mein

Maati ko koondo yo jeeme mein
teri he maati ki dharti so gol hai
"Om Shanti " "Swaha" log dhorave
mein jaanu lekin ki, tera he yeh bol hai

Hawan kund ki Aag so, bhabku hoon mein O Dev
bhasm kar E deh nu, nij mein mila lev

Tero hi !!!
22/8/10 - Anant tak...