Wednesday, February 27, 2008

MERA AASMA

Booth chuka suraj,
daer kuch baad yeh loh bhi
bujh jaayage,
phir mere saamne
woh laambi, roz waali raat aayage
taakunga daer kuch, 'challae' se chand ko
phir woh bhi chup jaayaga
aankh micholi khelne ko
ushko bhi mera he aasmaa paayeaga...
RADHA BAAVRI

shyam milan ko baavri,
chali, shyam milan ko saavri

rishte naate toad kari
chali raadha paane ko shyaam hari

bachpan ki gudiyea, sakhiyea bhali
chod chali raadha, shyaam ki galli

mahal, raaj jaha paali badhi
raadah, shyaam milan sab chaad chali

baag,oojad, sooni gali
raadha, shyaam milan sab laangh chali

chil chilawae thee garmi gahri
dekhi na oonae bhari dophari

prem aag mein jo mann jalli
toh kaya, tann ki sudh kaha rahi...
KISKA INTZAAR

Rooti nadi ko phir kon haasata hai
ruthae pattharo ko kon mannata hai
koi nahi ha?

Jhookae paedo ko phir kon lehraata hai
murjhayea phoolo ko kon khilkhilaata hai
koi nahi na?

Soote pahado ko phir kon jaagata hai
oojad khandaro ko kon basata hai
koi nahi, hai na?

Roz shyam boojahe suraj ko phir kon jaalata hai
har raat taaro ko kon jugmugata hai
shyad koi nahi, hai na?

Baarish ko konsi baarish bhigaati hai
chand ko konsi maa loori sunnati hai
koi nahi na?

Bhatke raashte ko phir kon raah pe laata hai
jo aag ko pyaas lagay toh kon boojhata hai
koi nahi.

insub mein jeene ki iccha he mukhya baat hai
phir kudrat toh kewal maadhyam maatr hai

jo hai humae hum par vishwash
phir kyun karae kisi aur ki aash
jo tumhae khudse pyaar hai
toh tumhae kishka intzaar hai

"jo bejaan kankad pathar hushne ki iccha rakhte
toh phir tum toh jeevanmay ho "

24:08:04
01:50 a.m

Tuesday, February 19, 2008

Oo FAKEER...

Oo Fakeer, kaisi hoge teri
takdeer ki lakeer...

Kabhi bhara paet
kabhi kakha khalli,
dekhi deewali roshan kabhi
kabhi lookhi kangaali

Bhasm laga rakh ki
roz niz kheli holi,
kabhi chale akale
mil gayea kabhi sang tooli

Kabhi chakha raaj bhoj
moothi bhar kabhi, maati he phaki
kabhi mil gaya brahm gyaan
laga kabhi, shrishti bhar jaanne ko baaki

Kabhi rahae sadiyeo tak maun
leen ek mudra mein, aakhe janmo na kholi
kabhi chale jo rukae nahi
thakae na muh laga 'bum bum' ki booli

Him chadh, sudha chakh bhi jo rahi aatma pyaasi
poora jug bhatkaya ushne
huae jagah jagah ke vaasi
Ganga ki ek boond se
mitti pahuch kar Kashi

Koi kahae chaliyea hai dhoongi
baaki, saadhu sant peer
Oo fakeer, kon jaane ho bhi ki na
teri, takdeer ki lakeer...

02:42 a.m
17/02/08