Saturday, March 15, 2008

Chalte hai pathik, ladte hai pathik

Jivan ke bhishan yudh me jhujhte hai pathik,
Saahas ka jivant parichay hote hai pathik,
Kabhi kathinaiyo ka vadh karte hai ye,
To kabhi paristhitiyo se maat khaate hai mere pathik,

Chalte hai pathik, ladte hai pathik…

Yaatra ki madhurta ki mahataa samajhte hai pathik,
Saathiyo ka ek swarnim aavaran bante hai pathik,
Apne sukh dukh se pare sahaj hote hai ye,
Daya aur nidaan ka bimb hote hai mere pathik,

Chalte hai pathik, ladte hai pathik…

Abhimaan ka swarth ka tiraskar karte hai pathik,
Prem ka udhdhaar ka bhav rakhte hai pathik,
Man me vishawas ki jyoti rakhte hai ye,
Is jyoti se lok ko mangalmay karte hai mere pathik,

Chalte hai pathik, ladte hai pathik!

---------------Anonymous Creation---------------

Thursday, March 13, 2008

Mann ka Ehsaash
Ush din tum ehsaash karogi
jab mujhko tum yaad karogi

Jeevan ki raaho mein kitne saath milte hai
par jab kisi choraahe par akali hogi
thak kar gir padogi, dard mein mujhe awaz doogi
ush din tum ehsaash karogi

Mere saath beete kuch guzre din
saath chali thee mere har pal gin gin
jab saath chale kadmo ko yaad karogi
ush din tum ehsaash karogi

khuli aakhon se sapno ke pankh dharogi
aakhen bundh karogi toh mujhse milogi
aakhen khologi toh mujhe kho doogi
ush din tum ehsaash karogi

Mujhe yaad kar jab achanak ro doogi
aasuon ke kuch samundar jab kho doogi
mujhse milne ko jab tadap uthogi
ush din tum ehsaash karogi

Ajnabee 'mann' ki baaten nahi samjhogi
rote rote hus doogi aur huste huste ro doogi
apne mann ka chain kho doogi
ush din tum ehsaash karogi

Mein amrit bun barsoonga
phir bhi tum pyaas tarsogi
'mann' ke mann mein basein prem par jab vishwash karogi
ush din tum ehsaash karogi...

"Mann ka ehsaash..."
04:04:02

Wednesday, March 12, 2008

Mann ke Darpan mein...

Mann ke darpan mein, main mujhko dikh raha udass-
aisa kya hua, kahai hoon main bujha bujha
thaka sa, ruka sa aur kuch kuch jhuka sa
kya hogayee baat aisi khas
jo mann ke darpan mein, main mujhko dikh raha udass

kyun lagne laga main akashmaat maano aisa-
jaise akalepan ne nichod diyea ho,
saath chalte chalte jeevan ne rukh moud liyea ho
har thama hua haath jaise maine he chod diyea ho

Yeh kaisi dhundh hai jo mere aur chhane lagi
yeh kis ki parchai hai jo aakhon mein aane lagi
yeh kaisa sunaata hai jo goonj raha hai
woh kon hai aur kyun mujhe yaad aa raha hai

Darpan ne kaha-
Yeh dhundh hai ahum ki, ahangkaar ki,jo chaaro aur hai chhayee
parchai hai kuch apno ki, jo yaad bun aab aakhon se chhalak aayee
sunnata hai maun ka jo kiyea hai tumne dharan
yaad jo aa rahe hai woh yaar hai, pyaar hai tumhare
roothe ho hut mein tum jinse bekaaran

Ab jab mann ne thaan he hai liyea
akalepan ko jeevan maan he hai liyea
toh kya darna ush dardnaak tanhai semukaddar jishe ab apna jaan he hai liyea...

"Har raaz dil ke hai kholta, kehte hai darpan jhooth nahi bolta"
01:02:03