Bhai tum kaha ho..???
Bhai tum kaha ho..???
jaha ho bas jaldi se aa jao...
log pata nahi kya kya kehte hain...
mann kaisa kaisa hone hai lagta...
aakar choop karado sabko...
ab aur nahi hai seh hota...
Bachpan mein bhi kheli humne aakh micholi
tum choop jaate aur mein dhoonte bhatakta rehta...
par meri ek pookar se,
tum aajaate peedo ke paar se...
Bhai samjho ab nahi hai waqt khel ka
log egghuta ho rahe hai ghar par,
kar rahe hai intzaar tumhara...
woh chehre mujhe daarave lagte hai...
shyaant hai, issi liyea bahoot kuch kehte hain
Bhai tum kaha ho...????
chinta hone lagi ab mujhe bhi...
ek bhai ki raakh gayee nahi abhi bhi naakhoono se
tumhe ushe haata hai
gaale laaga ke phoot phoot roona hai kitna,
kitna kuch tumhe baatana hai...
Bahoot hua bhai ab
cup kaapi hai chadh jaate
ek khayal bhi absaagun ka jo
aatapehli yaad tumhari aate...
Saturday, March 28, 2009
Friday, February 20, 2009
Aisa din kabhi na aayega...
Kitna baate hain jo tumtak pahoochani hain,
Par tum kahi nahi dikhte, shayad roshni roothi bethi hai mujhse...
nahi padte woh tumpar, nahi dekhpaata mein tumhe...
Yeh nahi ki andhera nahi pahoocha sakta tumtak baat humari...
par shayad ab roshni mein dekhne ki aadat se ho gayee hai tumhe...
isi liyea nahi suhata ab andhera...
Kitna mann hai tumhe ek baar shakshat dekhne ka,
par aakhen ittni nishthoor ho gayee hain...
ek tuk bas dekhte rehte ek aur...
nahi dekhpaate tum ko ...
Mann itta kathor kaise ho gaya...
shayad ish liyea ki jaanta hai tum nahi ho,
aur chahke bhi nahi chahta yeh baat samajhna
ki tum nahi ho...
Par mein mann se sehmat nahi...
jaanta hoon tum paas ho...
bahoot paas...
padh sakte ho jo likha hai yaha...
soon sakta hai jo mein mukh se nahi keh sakta...
Kyun maanloo ki tum nahi ho,
tumne toh nahi baataya mujhe...
kaise maanloo kisi aur ki kahi sooni baat...
aur aisa he rahega tabtak jabtak tum khud na kehdo mujhe...
hokar shakshat mujhse...

Subscribe to:
Posts (Atom)