Friday, February 20, 2009

Aisa din kabhi na aayega...

Kitna baate hain jo tumtak pahoochani hain,
Par tum kahi nahi dikhte, shayad roshni roothi bethi hai mujhse...
nahi padte woh tumpar, nahi dekhpaata mein tumhe...
Yeh nahi ki andhera nahi pahoocha sakta tumtak baat humari...
par shayad ab roshni mein dekhne ki aadat se ho gayee hai tumhe...
isi liyea nahi suhata ab andhera...

Kitna mann hai tumhe ek baar shakshat dekhne ka,
par aakhen ittni nishthoor ho gayee hain...
ek tuk bas dekhte rehte ek aur...
nahi dekhpaate tum ko ...

Mann itta kathor kaise ho gaya...
shayad ish liyea ki jaanta hai tum nahi ho,
aur chahke bhi nahi chahta yeh baat samajhna
ki tum nahi ho...

Par mein mann se sehmat nahi...
jaanta hoon tum paas ho...
bahoot paas...
padh sakte ho jo likha hai yaha...
soon sakta hai jo mein mukh se nahi keh sakta...

Kyun maanloo ki tum nahi ho,
tumne toh nahi baataya mujhe...
kaise maanloo kisi aur ki kahi sooni baat...
aur aisa he rahega tabtak jabtak tum khud na kehdo mujhe...
hokar shakshat mujhse...
Aisa din kabhi na aayega...