Wednesday, November 14, 2007

Shuru...Samapt...Shuru

Komal...Kathor...Komal

Shant...Shore...Shant

Samay, nazar, ehsaas, vatavaram badal jaata hai
astitav kabhi nahi meet ta,
jo kisi baat, vishaye, vasto, manushaye ka anth hai
wahi kisi aur baat, vishaye, vasto, manushaye ki shuroowat
aur wahi Anth...
Kshitij ki iccha

Kshitij ki iccha rakhne waala
aam path chalta nahi,
kuch adhik lambi hooti raah uski
par sir par kabhi uske sooraj
dhalta nahi

Samay phir samay nahi
gatti uski ban jaata,
phir ushe waha pohuchane ko
poora brahmaand shadiyantra
rachata

Nayee disha, nayee chunnoti, sthir na rehna
bas chalte jaana hai
peeche aave jo uske, oon vaaste
nayee raah banana hai
Kshitij kise mila aajtak
woh toh maatr bahana hai

"For my bhai Ansh"
May be Alchemist was on my mind.

8.11.2007
02:45 a.m

Saturday, August 25, 2007

Mein tha, Mein hoon...

Karte hai prarthna vriksh bhi
suna hai, maangte, prabhu se unhe kabhi?

keh raha tha:-

Ambar geere, bhoomi phatein
tal ukhde ya haath katein
aandhi chale, barse aag bhale
tinke maatr ho, par ho chhao mere talein

Aasma barse, paani ko mera jeevan tarse
goud sooni ya bhari rahe
par aatma meri hari rahe
nanha jeevan mujhpar palein
mritshaya par tann jale
par 'uuf' na mere 'mann' se niklein

Beechu, sharp palein mere talle
jhoole mujhpar pade naa bhale
par naina dekhe naa kalah, mere talle
umaar chhahe adhi ho
par jeeven asha waadi ho
dharam ko samay naa rahe
par karam ko mann hardam 'haan' kahe

Phal chahe kabhi naa mere paakein
par sharan mein mere aave jo,na rahe thake
yug yugantar tak seva mein mein rahu
saare dard mere ho, duvidha matrr mein sahoon

Ambar geere, bhoomi phatein
tal ukhde ya haath katein
tab-hoo har dum yahi kahoon
"mein tha, mein hoon"!

Haan, karte hai prarthna vriksh bhi
sun-na unhe kabhi.


"Jub jub haath uttha vriksh nein prabhu se maanga,
apne liyea dard, manushya ke liye jeevan he maanga".



20-06-05
01:55 a.m
Kal kaali raat

Kal kaali raat bhar
betha bhukaal ke ghaat par

kashi kaali raat yaado ki,
moothi mein, chullu bhar...

chaha bhavi kaal yahi,
jyun jyun phisle rait,
milea maati mein,
pad kar bhu par...

tyun tyun sut sut kat jaave
kaali vartmaan ke raat bhar.

2006
Kuch Sakhi se...

Sakhi,
Bhale hi aaj tum mujhse door ho
jaanta hoon, tum kitne mazboor ho
par tumhare hone ka ehsaas hai
chalo kuch toh tumhara mere paas hai

Sakhi,
yaad hai woh phoolo ka din?
mehak rahe the phool vibhin
par doh phool vishesh khile the
arei haan! usi din toh hum mile the

Ghanto mein humari baatein nahi samati
jaanmo ki jaise pehchan thee
tum mujhse yeh kehte, tum mujhse weh kehti
aur kabhi nahi choop rehte

Haar waqt mere aas paas rehte
pyaar se tum mujhe 'mann' kehte
bas mein tumhe, tum mujhe jaante
auro ka kaha suna kuch nahi maante
yaad hai na tumhe sakhi?

Par aaj achanak? aisa kya hua?
hriday se pyaara rishta maano toot sa gaya
kon galat tha kon sahi
waqt ko bhi shayad pata nahi

Par suna hai sakhi, mitrataa mein sahi galat nahi hota
har koi hasta hai, koi nahi hai roota
sakhi, kya pahad hil nahi sakte
ya phir hum pahad se bhi adhik drudh hai
jo phir mil nahi sakte

Agar mitrataa ka arth hai jeen
aaur agar hai jeena he
toh kyun na jeeke dekhenaisa bhi?

"Mann se rooth gayee na tum?".

For the 'one' i love The most

09-02-03
02:09 a.m
Vishwash ki rassi

Vishwash ki rassi goothne mein
kitne he hain pal beh jaate
kucho ko lagte hai yug
kuch toh prayatna mein he hain reh jaate

Prayaas jitne kiye, kum he kiye
door kabhi yeh rassi naa bun paati
bees shwash doori ke
aur vishwash ki dor...cheen cheen ho jaate

Par ek baar jo ban gayee kabhi
dur-dura mil jul aag lagave sabhi
astitva bhale hi mita paave
goothan mita paave nahi

Aur jo is parishak agni ke paar bhayee
samjho ramayan rach gayee
parantu yeh naamumkin se bus ek pug neeche hai
tathya yehi is-se ashambhavata ki aur kheeche hai

Tabhi toh vishwas ki rassi goothne mein
kitne he shaant ho jaate hai
kucho ko lagte hai yugaantar
baaki shunya mein kho jaate hai.

25-09-05
03:27 a.m
Bhikari ki poonji

Maud se lag kar behti naali ke kinaare baithe bhikari ke paas kya hai?
Aage badhi, gandi hatheli mein, bhagya rekha ki jagah lambi umar rekha
jo kaate nahi kat-ti
koode se jootnah khaate kutte ki aur nazar
jo hataye nahi hat-ti

Bheekh mein mili phatti poorani, do phoot ki chatayi
jaa mein ghar, zameen ya phir uski poori duniya samayee
humumaar boodhiya ke taane, jo bahut kuch keh gayee
ya woh sharam jo kayee saal pehle yaha bethte he
naali ke saath beh gayee
andar dhasa, saaday chaar din bhooka pet
yaha se uthne ki iccha, chudgayee jo daridrata ki bhet

Dabbe mein pade kankad jo ghadi ghadi baja raha hai
ya woh roti ka tookda, jo daya naa paane ke darr se
phati kameej mein choopa raha hai
yeh garoor ki mohalle ka woh maatr ek bhikari hai
ya yeh dukh ki mohalle mein woh maatr bhikari hai
woh bhagwan jo har subah lookhi aas deta hai
ya woh anjan jo dabbe mein ek rupiya daal,
aathana wapis uutha leta hai

Karm uski 'bheek' dharm uska 'maangna'
'gareebi' uski maa , 'boodhapa' uska baap hai
aur uska hona hi uska sabsa bada paap hai
itna sub kuch hai, maud se lagi naali ke kinare
bethe bhikari ke paas

Jub aap aur hum jaante hai ki samay khud ki gaatha hai kehta
kabhi ek sa nahi rehta
toh kyun haatho mein hum uske pachas paise tak
nahi hain rakhte?

"Aisa karne se uski takdeer badle na badle,humari neeyat zaroor badal sakti hai".

03-02-05
02:37 a.m

Thursday, August 16, 2007

Haar kyun maane abhi ?

Patta hai, kaagaz ki kashti ki tarah,
kuch dur jaa doobna hai mujhe,
par haar kyun maanu mein abhi?
lehro ko cheerne ki iccha toh hai
mujhmein !
Kehte hai kyun Logun ?

Chhaw bhare peepal si maa
nadiyea si, sheetal si maa
titli si, komal si maa
khuli aankho ke sapno si, aujhal si maa

Isht dev ke mandir mein jalti, baati si maa
subha subha ki aush mein doobi, paati si maa
huthi 'mann' ko niwale khilati si maa
sahad mein dooba dooba looriyea soonati, sulati si maa

Tulsi ke baday ke pharre lagate si maa
angana mein amwah ka poodha roopte, oogaate si maa
phookini se choolhay ki aanch badhaathi si maa
jaaday mein sighdi ko taave deti, sulghati si maa

Chaaki chulhey mein haath buttati si maa
rotein lalla ko maanati, behlati si maa
saare moh se chookhi mori maa
yashoda maiyea si anokhi mori maa

Boojho toh sab kuch,
naa boojho toh paheli meri maa
Kehte hain kyun logun phir ushe....
Sauteli mori maa ???

12-07-05
11:00 p.m

Monday, July 16, 2007

Mein chaloonga

Mein chaloonga,
girronga,
par oothonga,
phir chalonga,
aasma mera mookam
sach ki raah dharonga
aur ek din apne aap ko
apne he pairo pe paa loonga...

15-07-07
02:02 a.m
Sookhe darakhtoh pe

Sookhe darakhtoh pe jhoole nahi hain padte
par kuch insaan hut kar ishse
bhav hai rakhte,
woh patjhud ki raat mein bhi khwab hain gadte
aur sawan ki pehli koopal se he,
jhoole hain jadte

Woh auro se nahi,
phir bhi auro se hoote
barsaat unhe bhi ek si bhigaate
dhoop ek se he hai unhe jalate
par woh haar mein mooh nahi latkate
khoone pe nahi hai roote.
16-07-07
12:19 a.m
Shabd bhare hai kanntho tak

Shabd bhare hai kanntho tak
nikal kyun nahi phir bahar aate
ek lambi aahn...
aur woh, seenein mein hein dabe reh jaate

Dekh kishi apne se ko
bhar aati yaado ki gagar
par challak nahi kyun padte shabd
thanda padjata bhaw ka shagar

Shabd ubbarte hai kantho tak
baras kyun nahi phir bahar jaate
shakshat hoote saamne tum
aur hum, kewal mushkurra paate

Shabd bhare hain kantho tak
nikal kyun nahi phir bahar aate
chalti kaali kalam humari
aur woh mataar akshar ban
hum he tak hain reh jaate !
14-07-07
03:06 p.m
Aksar dekha hai maine

Aksar dekha hai maine raat ko, raat ke chahre ko
darr ka mukhota laga ke logo ko darate huye
kaali raat ki kahaniyean sunaati naani ko
shehme huin baccho ko, sulate huin

Akshar dekha hai maine shyaam ke baad
raat ko daabe paav aate huin
chhoro ko panah deti hui
bhooto ki barat shajate huin
chup pehne waali raat ko, goongunate huin
dekha hai maine akshar raat ko gaate huin

Akshar jaana hai maine raat ko amawshya ke naam se
shumshaan mein dhooni raamate taantrik ke,bhale boore kaam se
kaal se kaali,maut se shyant raat ko
akshar dekha hai hai maine dhalte,
aaram se.

25 -06-05
03:03 a.m

Monday, July 9, 2007

Chalna hai toh chalna hai

Aandhi ho,
kaali rait ke toofan chalein
mrit ho shehar,
ho jeewit kabrishtaan bhale
Chalna hai toh chalna hai...

Dukh ke pahaad ho
duvidha ki ho ghaati
shool bhare raashte ho
dhasi dhasi si ho maatti
chalna hai toh chalna hai...

Tann kamzori ka bandi ho
gatti mein chhahe mandi ho
pug jab tere jawab dein
tabhu naa nikle 'baap re'
kyun ki,
Chalna hai toh chalna hai...
Rang Kaala

Kaala rang raat ka
rang kaala jhooth ka, jhooti baat ka
kaala shunya ke prateek ka
kaala he chori, bheekh ka

Rang kaala saut ka
kaala hi rang maut ka
kaala rang aahum ka
rang kaala sa vahamm ka

Rang kaala bewafai ka
kaala rang kalah, ladai ka
kaala hi hota nafrat ka
hota kaala hi zudai ka

Kaale rang ki parchai hote
hooti kaali duniya,jab nazar hai khooti
kaala rang kapoot ka
rang kaala maut ke doot ka

Kaala rang tantra ka
rang kaala shadyantra ka
nyay ki devi ke naino pe kaali patti
chand pe daag,shayad hoge waha bhi kaali matti

Kaala rang burai ka
phir hote kyun akshar kaale?
rang hota kyun kaala padhai ka...???
Nahi suna humne "hara pad raha sansar hai"
usko jo nigal raha wobhi...kaala bhrastachar hai.

MERE MITRA KA JAWAB...

Kaala rang hai Mohan-shyam ka
hai rang kaala kaali naag ka
kaala rang un aankho ka,
jaha laga kaajal kaale rang ka

Aasma ke paar jo hai
woh jahaan kaala rang ka
chandrama jab suraj dhaaken
woh nazaara kaale rang ka

Raaste par jo patthar pada
woh patthar kaale rang ka
us pathar se jo murti upji
woh murti kaale rang ki
jis sadak raah par tu chala musafirus
sadak ka rang bhi kaala kaala

Kaala rang hai raat ka
rang kaala hai khwaab ka
kaala rang hai baadlo ka
mitti jo upjaaverang uska bhi kaala

Kaala rang hai nyay ka
isi liyea akshar rupi kaala rang hai gyaan ka
kaala rang hai gehraiya ka
hai rang kaala tanhaiya ka

Kaala rang hai kesh ka
hai kaala rang parivesh ka
Har rang ko apne main apnaata
woh rang bhi hai KAALA KAALA.





Kal kaali raat

kaali raat bhar
betha bhukaal ke ghat par
kashi kaali rait yaadoh ki,

moothi mein, chullu bahr...
chaha bhavi kaal yehi,
jyun jyun phisle rait,
milea maati mein, pad kar bhu par...
tyun tyun sut sut kat jaave

kaali vartmaan ke raat bhar.

Saturday, July 7, 2007

Kuch yu ziyeain zindgee...

Zindgee kuch ishtarah peeyein
pyaas boojhe ab ki , aur............
rahe pyaas itni he pyaas,
kal bhi.............................................
Mithas ho kuch reete beete pal ki

kardwahat ho na dhakko ki,
thokar aur chall ki..........................
aao,
kuch yu peeyein Zindgee......