Bhikari ki poonji
Maud se lag kar behti naali ke kinaare baithe bhikari ke paas kya hai?
Aage badhi, gandi hatheli mein, bhagya rekha ki jagah lambi umar rekha
jo kaate nahi kat-ti
koode se jootnah khaate kutte ki aur nazar
jo hataye nahi hat-ti
Bheekh mein mili phatti poorani, do phoot ki chatayi
jaa mein ghar, zameen ya phir uski poori duniya samayee
humumaar boodhiya ke taane, jo bahut kuch keh gayee
ya woh sharam jo kayee saal pehle yaha bethte he
naali ke saath beh gayee
andar dhasa, saaday chaar din bhooka pet
yaha se uthne ki iccha, chudgayee jo daridrata ki bhet
Dabbe mein pade kankad jo ghadi ghadi baja raha hai
ya woh roti ka tookda, jo daya naa paane ke darr se
phati kameej mein choopa raha hai
yeh garoor ki mohalle ka woh maatr ek bhikari hai
ya yeh dukh ki mohalle mein woh maatr bhikari hai
woh bhagwan jo har subah lookhi aas deta hai
ya woh anjan jo dabbe mein ek rupiya daal,
aathana wapis uutha leta hai
Karm uski 'bheek' dharm uska 'maangna'
'gareebi' uski maa , 'boodhapa' uska baap hai
aur uska hona hi uska sabsa bada paap hai
itna sub kuch hai, maud se lagi naali ke kinare
bethe bhikari ke paas
Jub aap aur hum jaante hai ki samay khud ki gaatha hai kehta
kabhi ek sa nahi rehta
toh kyun haatho mein hum uske pachas paise tak
nahi hain rakhte?
"Aisa karne se uski takdeer badle na badle,humari neeyat zaroor badal sakti hai".
03-02-05
02:37 a.m
No comments:
Post a Comment